diwar par likha na paDho aur KHush raho
dīvār par likhā na paḌho aur ḳhush raho
kahtā hai jo gajar na suno aur ḳhush raho
apnā.iyat kā ḳhvāb to dekho tamām umr
begānagī kā zahr piyo aur ḳhush raho
kāñTe jo dostoñ ne bikhere haiñ raah meñ
palkoñ se apnī aap chuno aur ḳhush raho
bāteñ tamām un kī suno gosh-e-hosh se
apnī taraf se kuchh na kaho aur ḳhush raho
vo kaj-adā haiñ gar to na shikva karo kabhī
behtar hai zahr-e-ishq piyo aur ḳhush raho
shikva kiyā zamāne kā to us ne ye kahā
jis haal meñ ho zinda raho aur ḳhush raho
'anvar-sadīd' haal agar mehrbāñ nahīñ
maazī ko apne yaad karo aur ḳhush raho
diwar par likha na paDho aur KHush raho
kahta hai jo gajar na suno aur KHush raho
apnaiyat ka KHwab to dekho tamam umr
beganagi ka zahr piyo aur KHush raho
kanTe jo doston ne bikhere hain rah mein
palkon se apni aap chuno aur KHush raho
baaten tamam un ki suno gosh-e-hosh se
apni taraf se kuchh na kaho aur KHush raho
wo kaj-ada hain gar to na shikwa karo kabhi
behtar hai zahr-e-ishq piyo aur KHush raho
shikwa kiya zamane ka to us ne ye kaha
jis haal mein ho zinda raho aur KHush raho
'anwar-sadid' haal agar mehrban nahin
mazi ko apne yaad karo aur KHush raho
- Book : Prinda Safar men (Pg. 29)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.