Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

din o dil pahli hi manzil mein yahan kaam aae

Ali Jawad Zaidi

din o dil pahli hi manzil mein yahan kaam aae

Ali Jawad Zaidi

MORE BYAli Jawad Zaidi

    diin o dil pahlī manzil meñ yahāñ kaam aa.e

    aur ham rāh-e-vafā meñ koī do gaam aa.e

    tum kaho ahl-e-ḳhirad ishq meñ kyā kyā biitī

    ham to is raah meñ nā-vāqif-e-anjām aa.e

    lazzat-e-dard milī ishrat-e-ehsās milī

    kaun kahtā hai ham us bazm se nākām aa.e

    vo bhī kyā din the ki ik qatra-e-mai bhī na milā

    aaj aa.e to ka.ī baar ka.ī jaam aa.e

    ik hasīñ yaad se vābasta haiñ lākhoñ yādeñ

    ashk umañD aate haiñ jab lab pe tirā naam aa.e

    liye hoñT magar dil meñ ḳhalish rahtī hai

    is ḳhamoshī kahīñ un pe na ilzām aa.e

    chand dīvānoñ se raushan thī galī ulfat

    varna fānūs to lākhoñ sar-e-bām aa.e

    ye bhī badle hue hālāt partav hai ki vo

    ḳhalvat-e-ḳhās se jalva-gah-e-ām aa.e

    ho ke māyūs maiñ paimāna bhī jab toḌ chukā

    chashm-e-sāqī se piyā pe ka.ī paiġhām aa.e

    shahr meñ pahle se badnām the yuuñ bhī 'zaidī'

    ho ke mai-ḳhāne se kuchh aur bhī badnām aa.e

    din o dil pahli hi manzil mein yahan kaam aae

    aur hum rah-e-wafa mein koi do gam aae

    tum kaho ahl-e-KHirad ishq mein kya kya biti

    hum to is rah mein na-waqif-e-anjam aae

    lazzat-e-dard mili ishrat-e-ehsas mili

    kaun kahta hai hum us bazm se nakaam aae

    wo bhi kya din the ki ek qatra-e-mai bhi na mila

    aaj aae to kai bar kai jam aae

    ek hasin yaad se wabasta hain lakhon yaaden

    ashk umanD aate hain jab lab pe tera nam aae

    si liye honT magar dil mein KHalish rahti hai

    is KHamoshi ka kahin un pe na ilzam aae

    chand diwanon se raushan thi gali ulfat ki

    warna fanus to lakhon hi sar-e-baam aae

    ye bhi badle hue haalat ka partaw hai ki wo

    KHalwat-e-KHas se ta jalwa-gah-e-am aae

    ho ke mayus main paimana bhi jab toD chuka

    chashm-e-saqi se piya pe kai paigham aae

    shahr mein pahle se badnam the yun bhi 'zaidi'

    ho ke mai-KHane se kuchh aur bhi badnam aae

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    din o dil pahli hi manzil mein yahan kaam aae Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now