dhup se jism bachae rakhna kitna mushkil hai
dhuup se jism bachā.e rakhnā kitnā mushkil hai
ḳhud ko saa.e saa.e rakhnā kitnā mushkil hai
zāhir meñ jo rasta sīdhā lagtā ho us par
apne pair jamā.e rakhnā kitnā mushkil hai
āvāzoñ kī bhiiḌ meñ itne shor-sharābe meñ
apnī bhī ik raa.e rakhnā kitnā mushkil hai
ham se pūchho ham dil ko samjhāyā karte the
vahshī ko samjhā.e rakhnā kitnā mushkil hai
sirf parinde ko ma.alūm hai tez havāoñ meñ
apne par phailā.e rakhnā kitnā mushkil hai
aaj kī raat havā.eñ behad sarkash lagtī haiñ
aaj charāġh jalā.e rakhnā kitnā mushkil hai
dostiyoñ aur dushmaniyoñ kī zad meñ rah ke 'nasīm'
apnā-āp bachā.e rakhnā kitnā mushkil hai
dhup se jism bachae rakhna kitna mushkil hai
KHud ko sae sae rakhna kitna mushkil hai
zahir mein jo rasta sidha lagta ho us par
apne pair jamae rakhna kitna mushkil hai
aawazon ki bhiD mein itne shor-sharabe mein
apni bhi ek rae rakhna kitna mushkil hai
hum se puchho hum dil ko samjhaya karte the
wahshi ko samjhae rakhna kitna mushkil hai
sirf parinde ko malum hai tez hawaon mein
apne par phailae rakhna kitna mushkil hai
aaj ki raat hawaen behad sarkash lagti hain
aaj charagh jalae rakhna kitna mushkil hai
dostiyon aur dushmaniyon ki zad mein rah ke 'nasim'
apna-ap bachae rakhna kitna mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.