DhunD rakkhi hai meri wahshat ne aasani meri
DhūñD rakkhī hai mirī vahshat ne āsānī mirī
ghar kī hālat hī meñ rakh dī hai bayābānī mirī
naam hī ko bas paḌegā bojh terī jeb par
dekhne kī hai sar-e-bāzār arzānī mirī
hosh hai bas is qadar nairañgi-e-hālāt meñ
do qadam rahtī hai aage mujh se hairānī mirī
husn-e-be-parvā ko ḳhud se thoḌā ġhāfil dekh kar
mujh ko kyā kuchh is kā dikhlātī hai uryānī mirī
vo ajab ik shahr thā jis meñ kaTe yuuñ maah o saal
din se maiñ vāqif nahīñ thā shab thī anjānī mirī
hai koī jo rakh rahā hai roz o shab kā sab hisāb
hotī rahtī hai kahīñ par saḳht nigrānī mirī
har tarah ke mausamoñ meñ merā rakhtā hai ḳhayāl
hai koī jo kartā rahtā hai nigahbānī mirī
aaj bhī kaj hai usī dhaj se phaTī sī ik kulāh
tañg kartī hai abhī tak ḳhū-e-sultānī mirī
kis jagah hai vo bachā rakkhā hai jis ke vāste
ek sajda jo liye phirtī hai peshānī mirī
ḳhud banā letā huuñ maiñ apnī udāsī kā sabab
DhūñD hī letī hai 'shāhīñ' mujh ko vīrānī mirī
DhunD rakkhi hai meri wahshat ne aasani meri
ghar ki haalat hi mein rakh di hai bayabani meri
nam hi ko bas paDega bojh teri jeb par
dekhne ki hai sar-e-bazar arzani meri
hosh hai bas is qadar nairangi-e-haalat mein
do qadam rahti hai aage mujh se hairani meri
husn-e-be-parwa ko KHud se thoDa ghafil dekh kar
mujh ko kya kuchh is ka dikhlati hai uryani meri
wo ajab ek shahr tha jis mein kaTe yun mah o sal
din se main waqif nahin tha shab thi anjaani meri
hai koi jo rakh raha hai roz o shab ka sab hisab
hoti rahti hai kahin par saKHt nigrani meri
har tarah ke mausamon mein mera rakhta hai KHayal
hai koi jo karta rahta hai nigahbani meri
aaj bhi kaj hai usi dhaj se phaTi si ek kulah
tang karti hai abhi tak KHu-e-sultani meri
kis jagah hai wo bacha rakkha hai jis ke waste
ek sajda jo liye phirti hai peshani meri
KHud bana leta hun main apni udasi ka sabab
DhunD hi leti hai 'shahin' mujh ko virani meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.