de ke wo sare iKHtiyar mujhe
de ke vo saare iḳhtiyār mujhe
aur kartā hai sharmsār mujhe
zaḳhm tartīb de rahā huuñ maiñ
aur kuchh vaqt de udhār mujhe
pārsā.ī kā zo.am hai un ko
kah rahe haiñ gunāhgār mujhe
fāsle ye simaT nahīñ sakte
ab parāyoñ meñ kar shumār mujhe
dil ke gulshan meñ tum chale aao
aur kar do sadā-bahār mujhe
tark-e-ulfat ke ba.ad bhī 'ashfāq'
terā rahtā hai intizār mujhe
de ke wo sare iKHtiyar mujhe
aur karta hai sharmsar mujhe
zaKHm tartib de raha hun main
aur kuchh waqt de udhaar mujhe
parsai ka zoam hai un ko
kah rahe hain gunahgar mujhe
fasle ye simaT nahin sakte
ab parayon mein kar shumar mujhe
dil ke gulshan mein tum chale aao
aur kar do sada-bahaar mujhe
tark-e-ulfat ke baad bhi 'ashfaq'
tera rahta hai intizar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.