dasht ki dhup hai jangal ki ghani raaten hain
dasht kī dhuup hai jañgal kī ghanī rāteñ haiñ
is kahānī meñ bahar-hāl ka.ī bāteñ haiñ
go tire saath mirā vaqt guzar jaatā hai
shahr meñ aur bhī logoñ se mulāqāteñ haiñ
jitne ash.ār haiñ un sab pe tumhārā haq hai
jitnī nazmeñ haiñ mirī niind kī sauġhāteñ haiñ
kyā kahānī ko isī moḌ pa ruknā hogā
raushnī hai na samundar hai na barsāteñ haiñ
dasht ki dhup hai jangal ki ghani raaten hain
is kahani mein bahar-haal kai baaten hain
go tere sath mera waqt guzar jata hai
shahr mein aur bhi logon se mulaqaten hain
jitne ashaar hain un sab pe tumhaara haq hai
jitni nazmen hain meri nind ki saughaten hain
kya kahani ko isi moD pa rukna hoga
raushni hai na samundar hai na barsaten hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.