Dagmagate kabhi qadmon ko sambhalte dekha
Dagmagāte kabhī qadmoñ ko sambhalte dekhā
rāh-e-ulfat pe magar logoñ ko chalte dekhā
nafrateñ mil ga.iiñ mā'sūm diloñ meñ aksar
chāhatoñ ko dil-e-saffāk meñ palte dekhā
hausla thā koī maqsad yā salīqa, us ko
vaqt ke tund thapeḌoñ meñ sambhalte dekhā
jin ko paalā thā bahāroñ ne jahāñ bhar kii, unheñ
āzmā.ish kī kaḌī dhuup meñ jalte dekhā
be-jhijhak chal na sakā dasht-e-vafā meñ ab tak
rukte dekhā kabhī us shoḳh ko chalte dekhā
sabza-o-gul pe havā rakhtī hai shabnam lekin
phir havā ko un hī qatroñ ko kuchalte dekhā
shahr yā shahr se bāhar nahīñ, apne ghar meñ
ham ne aqdār-e-zamāna ko badalte dekhā
āzmā.ish hai, ijāzat hai ki majbūrī hai
zulm ko ham ne yahāñ phūlte-phalte dekhā
ātish-e-ishq se bachiye ki yahāñ ham ne bhī
mom kī tarah se patthar ko pighalte dekhā
apne jazbāt to mash.hūr the lekin ham ne
the jo hushyār bahut un ko ubalte dekhā
Daal dī pairoñ meñ us shaḳhs ke zanjīr yahāñ
vaqt ne jis ko zamāne meñ uchhalte dekhā
bazla-sanjī pe bahut naaz thā jin ko apnī
ham ne un ko bhī yahāñ zahr ugalte dekhā
roz ye mashriq-o-maġhrib kā tamāsha kyuuñ hai
ugte dekhā hai jise us ko hī Dhalte dekhā
aa gayā yaad vo bachpan kā zamāna 'ḳhālid'
jab kahīñ phuul se bachchoñ ko uchhalte dekhā
Dagmagate kabhi qadmon ko sambhalte dekha
rah-e-ulfat pe magar logon ko chalte dekha
nafraten mil gain ma'sum dilon mein aksar
chahaton ko dil-e-saffak mein palte dekha
hausla tha koi maqsad ya saliqa, us ko
waqt ke tund thapeDon mein sambhalte dekha
jin ko pala tha bahaaron ne jahan bhar ki, unhen
aazmaish ki kaDi dhup mein jalte dekha
be-jhijhak chal na saka dasht-e-wafa mein ab tak
rukte dekha kabhi us shoKH ko chalte dekha
sabza-o-gul pe hawa rakhti hai shabnam lekin
phir hawa ko un hi qatron ko kuchalte dekha
shahr ya shahr se bahar nahin, apne ghar mein
hum ne aqdar-e-zamana ko badalte dekha
aazmaish hai, ijazat hai ki majburi hai
zulm ko hum ne yahan phulte-phalte dekha
aatish-e-ishq se bachiye ki yahan hum ne bhi
mom ki tarah se patthar ko pighalte dekha
apne jazbaat to mashhur the lekin hum ne
the jo hushyar bahut un ko ubalte dekha
Dal di pairon mein us shaKHs ke zanjir yahan
waqt ne jis ko zamane mein uchhalte dekha
bazla-sanji pe bahut naz tha jin ko apni
hum ne un ko bhi yahan zahr ugalte dekha
roz ye mashriq-o-maghrib ka tamasha kyun hai
ugte dekha hai jise us ko hi Dhalte dekha
aa gaya yaad wo bachpan ka zamana 'KHalid'
jab kahin phul se bachchon ko uchhalte dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.