Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-KHush-ab ki tamsil nahin ho sakti

Parvez Sahir

chashm-e-KHush-ab ki tamsil nahin ho sakti

Parvez Sahir

MORE BYParvez Sahir

    chashm-e-ḳhush-āb tamsīl nahīñ ho saktī

    aisī shaffāf koī jhiil nahīñ ho saktī

    merī fitrat meñ shāmil hai mohabbat karnā

    aur fitrat kabhī tabdīl nahīñ ho saktī

    us ke dil meñ mujhe ik jot jagānā paḌegī

    ḳhud raushan koī qindīl nahīñ ho saktī

    sikka-e-dāġh o zar-e-ġham se bharā hai mirā dil

    dekh ḳhālī mirī zambīl nahīñ ho saktī

    is liye shiddat-e-sadmāt meñ ro detā huuñ

    mujh se jazbāt tashkīl nahīñ ho saktī

    dukh to ye hai, vo mire dukh ko samajhtā nahīñ

    us tak ehsās tarsīl nahīñ ho saktī

    chhoḌ aayā huuñ tirā daftar-e-darbār-numā

    ab tire hukm ta.amīl nahīñ ho saktī

    is kasāfat latāfat se bhalā kyā nisbat?

    tīrgī nuur meñ tahlīl nahīñ ho saktī

    lāzmī to nahīñ 'sāhir'! vo mujhe mil jaa.e

    ya.anī har ḳhvāb takmīl nahīñ ho saktī

    chashm-e-KHush-ab ki tamsil nahin ho sakti

    aisi shaffaf koi jhil nahin ho sakti

    meri fitrat hi mein shamil hai mohabbat karna

    aur fitrat kabhi tabdil nahin ho sakti

    us ke dil mein mujhe ek jot jagana paDegi

    KHud hi raushan koi qindil nahin ho sakti

    sikka-e-dagh o zar-e-gham se bhara hai mera dil

    dekh KHali meri zambil nahin ho sakti

    is liye shiddat-e-sadmat mein ro deta hun

    mujh se jazbaat ki tashkil nahin ho sakti

    dukh to ye hai, wo mere dukh ko samajhta hi nahin

    us tak ehsas ki tarsil nahin ho sakti

    chhoD aaya hun tera daftar-e-darbar-numa

    ab tere hukm ki tamil nahin ho sakti

    is kasafat ki latafat se bhala kya nisbat?

    tirgi nur mein tahlil nahin ho sakti

    lazmi to nahin 'sahir'! wo mujhe mil jae

    yani har KHwab ki takmil nahin ho sakti

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now