chashm-e-hairat ko ta’alluq ki faza tak le gaya
chashm-e-hairat ko ta’alluq kī fazā tak le gayā
koī ḳhvāboñ se mujhe dasht-e-balā tak le gayā
TūTtī parchhā.iyoñ ke shahr meñ tanhā huuñ ab
hādsoñ kā silsila ġham-āshnā tak le gayā
dhuup dīvāroñ pe chaḌh kar dekhtī hī rah ga.ī
kaun sūraj ko añdheroñ kī guphā tak le gayā
'umr bhar milne nahīñ detī haiñ ab to ranjisheñ
vaqt ham se ruuTh jaane kī adā tak le gayā
is qadar gahrī udāsī kā sabab khultā nahīñ
jaise hoñToñ se koī harf-e-du'ā tak le gayā
jaane kis ummīd par ik aarzū kā silsila
mujh se paiham duur hotī ik sadā tak le gayā
ḳhaak meñ milte hue barg-e-ḳhizāñ se pūchhiye
kaun shāḳhoñ se use ūñchī havā tak le gayā
chashm-e-hairat ko ta’alluq ki faza tak le gaya
koi KHwabon se mujhe dasht-e-bala tak le gaya
TuTti parchhaiyon ke shahr mein tanha hun ab
hadson ka silsila gham-ashna tak le gaya
dhup diwaron pe chaDh kar dekhti hi rah gai
kaun suraj ko andheron ki gupha tak le gaya
'umr bhar milne nahin deti hain ab to ranjishen
waqt hum se ruTh jaane ki ada tak le gaya
is qadar gahri udasi ka sabab khulta nahin
jaise honTon se koi harf-e-du'a tak le gaya
jaane kis ummid par ek aarzu ka silsila
mujh se paiham dur hoti ek sada tak le gaya
KHak mein milte hue barg-e-KHizan se puchhiye
kaun shaKHon se use unchi hawa tak le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.