chaho to mera dukh mera aazar na samjho
chāho to mirā dukh mirā āzār na samjho
lekin mire ḳhvāboñ ko gunahgār na samjho
āsāñ nahīñ insāf kī zanjīr hilānā
duniyā ko jahāñgīr kā darbār na samjho
āñgan ke sukūñ kī koī qīmat nahīñ hotī
kahte ho jise ghar use bāzār na samjho
ujḌe hue tāqoñ pe jamī gard kī tah meñ
rū-posh haiñ kis qism ke asrār na samjho
ehsās ke sau zaḳhm bachā sakte ho 'aḳhtar'
iz.hār-e-muravvat ko agar pyaar na samjho
chaho to mera dukh mera aazar na samjho
lekin mere KHwabon ko gunahgar na samjho
aasan nahin insaf ki zanjir hilana
duniya ko jahangir ka darbar na samjho
aangan ke sukun ki koi qimat nahin hoti
kahte ho jise ghar use bazar na samjho
ujDe hue taqon pe jami gard ki tah mein
ru-posh hain kis qism ke asrar na samjho
ehsas ke sau zaKHm bacha sakte ho 'aKHtar'
izhaar-e-murawwat ko agar pyar na samjho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.