bikhar rahe the har ek samt kaenat ke rang
bikhar rahe the har ik samt kā.enāt ke rañg
magar ye aañkh ki jo DhūñDtī thī zaat ke rañg
hamāre shahr meñ kuchh log aise rahte haiñ
safar kī samt batāte haiñ jin ko raat ke rañg
ulajh ke rah ga.e chehre mirī nigāhoñ meñ
kuchh itnī tezī se badle the un kī baat ke rañg
bas ek baar unheñ khelne kā mauqā do
ḳhud in kī chaal batā degī saare maat ke rañg
havā chalegī to ḳhushbū mirī bhī phailegī
maiñ chhoḌ aa.ī huuñ peḌoñ pe apnī baat ke rañg
bikhar rahe the har ek samt kaenat ke rang
magar ye aankh ki jo DhunDti thi zat ke rang
hamare shahr mein kuchh log aise rahte hain
safar ki samt batate hain jin ko raat ke rang
ulajh ke rah gae chehre meri nigahon mein
kuchh itni tezi se badle the un ki baat ke rang
bas ek bar unhen khelne ka mauqa do
KHud in ki chaal bata degi sare mat ke rang
hawa chalegi to KHushbu meri bhi phailegi
main chhoD aai hun peDon pe apni baat ke rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.