bichhaD gae to ye dil umr bhar lagega nahin
bichhaḌ ga.e to ye dil 'umr bhar lagegā nahīñ
lagegā lagne lagā hai magar lagegā nahīñ
nahīñ lagegā use dekh kar magar ḳhush hai
maiñ ḳhush nahīñ huuñ magar dekh kar lagegā nahīñ
hamāre dil ko abhī mustaqil patā na banā
hameñ patā hai tirā dil udhar lagegā nahīñ
junūñ kā hajm ziyāda tumhārā zarf hai kam
zarā sā gamlā hai is meñ shajar lagegā nahīñ
ik aisā zaḳhm-numā dil qarīb se guzrā
dil us ko dekh ke chīḳhā Thahar lagegā nahīñ
junūñ se kund kiyā hai so us ke husn kā kiil
mire sivā kisī dīvār par lagegā nahīñ
bahut tavajjoh ta'alluq bigāḌ detī hai
ziyāda Darne lageñge to Dar lagegā nahīñ
bichhaD gae to ye dil 'umr bhar lagega nahin
lagega lagne laga hai magar lagega nahin
nahin lagega use dekh kar magar KHush hai
main KHush nahin hun magar dekh kar lagega nahin
hamare dil ko abhi mustaqil pata na bana
hamein pata hai tera dil udhar lagega nahin
junun ka hajm ziyaada tumhaara zarf hai kam
zara sa gamla hai is mein shajar lagega nahin
ek aisa zaKHm-numa dil qarib se guzra
dil us ko dekh ke chiKHa Thahar lagega nahin
junun se kund kiya hai so us ke husn ka kil
mere siwa kisi diwar par lagega nahin
bahut tawajjoh ta'alluq bigaD deti hai
ziyaada Darne lagenge to Dar lagega nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.