bhule-bisre hue gham phir ubhar aate hain kai
bhūle-bisre hue ġham phir ubhar aate haiñ ka.ī
ā.īna dekheñ to chehre nazar aate haiñ ka.ī
vo bhī ik shaam thī jab saath chhuTā thā us kā
vāhime dil meñ sar-e-shām dar aate haiñ ka.ī
paañv kī dhuul bhī ban jaatī hai dushman apnī
ghar se niklo to phir aise safar aate haiñ ka.ī
qarya-e-jāñ se guzarnā bhī kuchh āsān nahīñ
raah meñ jā'frī shīshe ke ghar aate haiñ ka.ī
bhule-bisre hue gham phir ubhar aate hain kai
aaina dekhen to chehre nazar aate hain kai
wo bhi ek sham thi jab sath chhuTa tha us ka
wahime dil mein sar-e-sham dar aate hain kai
panw ki dhul bhi ban jati hai dushman apni
ghar se niklo to phir aise safar aate hain kai
qarya-e-jaan se guzarna bhi kuchh aasan nahin
rah mein ja'fri shishe ke ghar aate hain kai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.