bewafai se wafaon ka sila mat dena
bevafā.ī se vafāoñ kā sila mat denā
bad-duā dene se achchhā hai duā mat denā
tohmateñ aap ke dāman se lipaT saktī haiñ
aag jab sulgī huī ho to havā mat denā
gul khilā saktā hai āvāra-ḳhayālī kā safar
zehn-e-hassās ko ḳhushbū kā patā mat denā
jin se mansūb hai tārīḳh ravādārī kī
āñdhiyo aise daraḳhtoñ ko girā mat denā
jo makāñ lams-shanāsī kā hunar jānte haiñ
un ko dastak kī zarūrat hai sadā mat denā
mujh ko sādāt kī nisbat ke sabab mere ḳhudā
ājizī denā takabbur kī adā mat denā
bewafai se wafaon ka sila mat dena
bad-dua dene se achchha hai dua mat dena
tohmaten aap ke daman se lipaT sakti hain
aag jab sulgi hui ho to hawa mat dena
gul khila sakta hai aawara-KHayali ka safar
zehn-e-hassas ko KHushbu ka pata mat dena
jin se mansub hai tariKH rawadari ki
aandhiyo aise daraKHton ko gira mat dena
jo makan lams-shanasi ka hunar jaante hain
un ko dastak ki zarurat hai sada mat dena
mujh ko sadat ki nisbat ke sabab mere KHuda
aajizi dena takabbur ki ada mat dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.