bewafa kahiye ba-wafa kahiye
bevafā kahiye bā-vafā kahiye
dil meñ aa.e jo barmalā kahiye
un ke zulm-o-sitam kā kyā shikva
husn kī shoḳhī-e-adā kahiye
de diyā dil kisī sitamgar ko
aap chāhe use ḳhatā kahiye
har ḳhushī kā nikhār hai us meñ
lazzat-e-ġham ko aur kyā kahiye
dil kabhī us ko māntā hī nahīñ
aap ḳhud ko na bevafā kahiye
apne dāman kī kuchh ḳhabar hai 'majīd'
soch kar ḳhud ko pārsā kahiye
bewafa kahiye ba-wafa kahiye
dil mein aae jo barmala kahiye
un ke zulm-o-sitam ka kya shikwa
husn ki shoKHi-e-ada kahiye
de diya dil kisi sitamgar ko
aap chahe use KHata kahiye
har KHushi ka nikhaar hai us mein
lazzat-e-gham ko aur kya kahiye
dil kabhi us ko manta hi nahin
aap KHud ko na bewafa kahiye
apne daman ki kuchh KHabar hai 'majid'
soch kar KHud ko parsa kahiye
- Ek Aag Si Seene Mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.