bahut tazkira dastanon mein tha
bahut tazkira dāstānoñ meñ thā
to kyā vo kahīñ āsmānoñ meñ thā
mujhe dekh kar kal vo hañstā rahā
to vo bhī mire rāz-dānoñ meñ thā
vo har shab chabātā rahā azhdahe
sunā hai ki vo naujavānoñ meñ thā
ajab chiiz hai lams kī tāzgī
nasha hī nasha do jahānoñ meñ thā
use zindagī muḳhtasar hī milī
magar ḳhanda-e-gul yagānoñ meñ thā
vajūd us kā dhartī se chimTā rahā
dhyān us kā ūñchī uḌānoñ meñ thā
parinde fazāoñ meñ phir kho ga.e
dhuāñ hī dhuāñ āshiyānoñ meñ thā
bahut tazkira dastanon mein tha
to kya wo kahin aasmanon mein tha
mujhe dekh kar kal wo hansta raha
to wo bhi mere raaz-danon mein tha
wo har shab chabaata raha azhdahe
suna hai ki wo naujawanon mein tha
ajab chiz hai lams ki tazgi
nasha hi nasha do jahanon mein tha
use zindagi muKHtasar hi mili
magar KHanda-e-gul yaganon mein tha
wajud us ka dharti se chimTa raha
dhyan us ka unchi uDanon mein tha
parinde fazaon mein phir kho gae
dhuan hi dhuan aashiyanon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.