baDe ghazab ka hai yaro baDe azab ka zaKHm
baḌe ġhazab kā hai yaaro baḌe 'azāb kā zaḳhm
agar shabāb hī Thahrā mire shabāb kā zaḳhm
zarā sī baat thī kuchh āsmāñ na phaT paḌtā
magar harā hai abhī tak tire javāb kā zaḳhm
zamīñ kī kokh hī zaḳhmī nahīñ añdheroñ se
hai āsmāñ ke bhī siine pe āftāb kā zaḳhm
maiñ sañgsār jo hotā to phir bhī ḳhush rahtā
khaTak rahā hai magar dil meñ ik gulāb kā zaḳhm
usī kī chāragarī meñ guzar ga.ī 'asrār'
tamām 'umr ko kaafī thā ik shabāb kā zaḳhm
baDe ghazab ka hai yaro baDe 'azab ka zaKHm
agar shabab hi Thahra mere shabab ka zaKHm
zara si baat thi kuchh aasman na phaT paDta
magar hara hai abhi tak tere jawab ka zaKHm
zamin ki kokh hi zaKHmi nahin andheron se
hai aasman ke bhi sine pe aaftab ka zaKHm
main sangsar jo hota to phir bhi KHush rahta
khaTak raha hai magar dil mein ek gulab ka zaKHm
usi ki chaaragari mein guzar gai 'asrar'
tamam 'umr ko kafi tha ek shabab ka zaKHm
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.