baz KHat pur-asar bhi hote hain
ba.az ḳhat pur-asar bhī hote haiñ
nāma-bar chāra-gar bhī hote haiñ
husn kī dilkashī pe naaz na kar
aa.ine bad-nazar bhī hote haiñ
tum hue ham-safar to ye jaanā
rāste muḳhtasar bhī hote haiñ
jaan dene meñ sar-bulandī hai
pyaar kā mol sar bhī hote haiñ
ik hamīñ muntazir nahīñ 'ālok'
muntazir bām-o-dar bhī hote haiñ
baz KHat pur-asar bhi hote hain
nama-bar chaara-gar bhi hote hain
husn ki dilkashi pe naz na kar
aaine bad-nazar bhi hote hain
tum hue ham-safar to ye jaana
raste muKHtasar bhi hote hain
jaan dene mein sar-bulandi hai
pyar ka mol sar bhi hote hain
ek hamin muntazir nahin 'alok'
muntazir baam-o-dar bhi hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.