Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

barud ke badle hathon mein aa jae kitab to achchha ho

Ghulam Mohammad Qasir

barud ke badle hathon mein aa jae kitab to achchha ho

Ghulam Mohammad Qasir

MORE BYGhulam Mohammad Qasir

    bārūd ke badle hāthoñ meñ aa jaa.e kitāb to achchhā ho

    ai kaash hamārī āñkhoñ ikkīsvāñ ḳhvāb to achchhā ho

    har pattā nā-āsūda hai māhaul-e-chaman ālūda hai

    rah jaa.eñ laraztī shāḳhoñ par do chaar gulāb to achchhā ho

    yuuñ shor dariyā biphrā hai chiḌiyoñ ne chahaknā chhoḌ diyā

    ḳhatre ke nishān se nīche ab utre sailāb to achchhā ho

    har saal āḳhirī shāmoñ meñ do chaar varaq uḌ jaate haiñ

    ab aur na bikhre rishtoñ bosīda kitāb to achchhā ho

    har bachcha āñkheñ kholte kartā hai savāl mohabbat

    duniyā ke kisī goshe se use mil jaa.e javāb to achchhā ho

    barud ke badle hathon mein aa jae kitab to achchha ho

    ai kash hamari aankhon ka ikkiswan KHwab to achchha ho

    har patta na-asuda hai mahaul-e-chaman aaluda hai

    rah jaen larazti shaKHon par do chaar gulab to achchha ho

    yun shor ka dariya biphra hai chiDiyon ne chahakna chhoD diya

    KHatre ke nishan se niche ab utre sailab to achchha ho

    har sal ki aaKHiri shamon mein do chaar waraq uD jate hain

    ab aur na bikhre rishton ki bosida kitab to achchha ho

    har bachcha aankhen kholte hi karta hai sawal mohabbat ka

    duniya ke kisi goshe se use mil jae jawab to achchha ho

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    barud ke badle hathon mein aa jae kitab to achchha ho Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now