barish kaisi jadugar hai
bārish kaisī jādūgar hai
qatra qatra nūr-e-nazar hai
aas kā panchhī DhūñD ke laao
jis kī nishānī TuuTā par hai
us meñ āñkheñ jaḌ jā.ūñgā
jis dīvār meñ andhā dar hai
TuuTī khaaT pe so jaatā huuñ
apnā ghar phir apnā ghar hai
raste kī anjān ḳhushī hai
manzil kā an-jānā Dar hai
barish kaisi jadugar hai
qatra qatra nur-e-nazar hai
aas ka panchhi DhunD ke lao
jis ki nishani TuTa par hai
us mein aankhen jaD jaunga
jis diwar mein andha dar hai
TuTi khaT pe so jata hun
apna ghar phir apna ghar hai
raste ki anjaan KHushi hai
manzil ka an-jaana Dar hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 450)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.