bahar bahar sannaTa hai andar andar shor bahut
bāhar bāhar sannāTā hai andar andar shor bahut
dil kī ghanī bastī meñ yaaro aan base haiñ chor bahut
yaad ab us kī aa na sakegī soch ke ye baiThe the ki bas
khul ga.e dil ke saare darīche thā jo havā kā zor bahut
maujeñ hī patvār baneñgī tūfāñ paar lagā.egā
dariyā ke haiñ bas do sāhil kashtī ke haiñ chhor bahut
maiñ bhī apnī jhoñk meñ thā kuchh vo bhī apne zo'm meñ thā
hotī bhī hai kuchh mere yaaro pyaar kī kuchh Dor bahut
fasl-e-ḳhizāñ to sah lī lekin mausam-e-gul meñ TuuT girī
bojh phaloñ kā sah nahīñ paa.ī shāḳh ki thī kamzor bahut
dil se uThā tūfān ye kaisā saare manzar Duub ga.e
varna abhī to is jangal meñ naach rahe the mor bahut
barsoñ baa'd milā hai mauqa' aao lagā leñ kashtī paar
aaj to yaaro sannāTā hai dariyā ke us or bahut
aaj yaqīnan meñh barsegā aaj giregī barq zarūr
añkhiyāñ bhī pur-shor bahut haiñ kajrā bhī ghanghor bahut
kis se kis kā sāthī chhūTā kis kā 'umar' kyā haal huā
parbat parbat vaadī vaadī raat machā thā shor bahut
bahar bahar sannaTa hai andar andar shor bahut
dil ki ghani basti mein yaro aan base hain chor bahut
yaad ab us ki aa na sakegi soch ke ye baiThe the ki bas
khul gae dil ke sare dariche tha jo hawa ka zor bahut
maujen hi patwar banengi tufan par lagaega
dariya ke hain bas do sahil kashti ke hain chhor bahut
main bhi apni jhonk mein tha kuchh wo bhi apne zo'm mein tha
hoti bhi hai kuchh mere yaro pyar ki kuchh Dor bahut
fasl-e-KHizan to sah li lekin mausam-e-gul mein TuT giri
bojh phalon ka sah nahin pai shaKH ki thi kamzor bahut
dil se uTha tufan ye kaisa sare manzar Dub gae
warna abhi to is jangal mein nach rahe the mor bahut
barson ba'd mila hai mauqa' aao laga len kashti par
aaj to yaro sannaTa hai dariya ke us or bahut
aaj yaqinan meinh barsega aaj giregi barq zarur
ankhiyan bhi pur-shor bahut hain kajra bhi ghanghor bahut
kis se kis ka sathi chhuTa kis ka 'umar' kya haal hua
parbat parbat wadi wadi raat macha tha shor bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.