apni sada ki gunj hi tujhko Dara na de
apnī sadā kī guuñj hī tujh ko Darā na de
ai dil tilism-e-gumbad-e-shab meñ sadā na de
dīvār-e-ḳhastagī huuñ mujhe haath mat lagā
maiñ gir paḌūñgā dekh mujhe aasrā na de
gul kar na de charāġh-e-vafā hijr kī havā
tūl-e-shab-e-alam mujhe patthar banā na de
ham sab asīr-e-dasht-e-huvaidā haiñ dosto
ham meñ koī kisī ko kisī kā patā na de
sab mahv-e-naqsh-e-parda-e-rañgīñ to haiñ magar
koī sitam-zarīf ye parda haTā na de
ik zindagī-gazīda se ye dushmanī na kar
ai dost mujh ko umr-e-abad kī duā na de
Dartā huuñ aa.ina huuñ kahīñ TuuT hī na jā.ūñ
ik lau sī huuñ charāġh kī koī bujhā na de
haañ mujh pe faiz-e-'mīr'-o-'firāq'-o-'nadīm' hai
lekin tū ham-suḳhan mujhe itnī havā na de
apni sada ki gunj hi tujh ko Dara na de
ai dil tilism-e-gumbad-e-shab mein sada na de
diwar-e-KHastagi hun mujhe hath mat laga
main gir paDunga dekh mujhe aasra na de
gul kar na de charagh-e-wafa hijr ki hawa
tul-e-shab-e-alam mujhe patthar bana na de
hum sab asir-e-dasht-e-huwaida hain dosto
hum mein koi kisi ko kisi ka pata na de
sab mahw-e-naqsh-e-parda-e-rangin to hain magar
koi sitam-zarif ye parda haTa na de
ek zindagi-gazida se ye dushmani na kar
ai dost mujh ko umr-e-abad ki dua na de
Darta hun aaina hun kahin TuT hi na jaun
ek lau si hun charagh ki koi bujha na de
han mujh pe faiz-e-'mir'-o-'firaq'-o-'nadim' hai
lekin tu ham-suKHan mujhe itni hawa na de
- Book : Pakistani Adab (Pg. 317)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.