apni hi rawani mein bahta nazar aata hai
apnī hī ravānī meñ bahtā nazar aatā hai
ye shahr bulandī se dariyā nazar aatā hai
detā hai koī apne dāman kī havā us ko
sho'la sā mire dil meñ jaltā nazar aatā hai
us haath kā tohfa thā ik daaġh mire dil par
vo daaġh bhī ab lekin jaatā nazar aatā hai
āñkhoñ ke muqābil hai kaisā ye 'ajab manzar
sahrā to nahīñ lekin sahrā nazar aatā hai
ik shakl sī bantī hai har shab mirī nīñdoñ meñ
ik phuul sā ḳhvāboñ meñ khiltā nazar aatā hai
āñkhoñ ne nahīñ dekhī us jism kī rā'nā.ī
ye chaar taraf jis kā saayā nazar aatā hai
dariyā ko kināre se kyā dekhte rahte ho
andar se kabhī dekho kaisā nazar aatā hai
phir zau meñ 'nadīm' apnī kuchh kam hai sitāra vo
ye raat kā ā.īna dhuñdlā nazar aatā hai
apni hi rawani mein bahta nazar aata hai
ye shahr bulandi se dariya nazar aata hai
deta hai koi apne daman ki hawa us ko
sho'la sa mere dil mein jalta nazar aata hai
us hath ka tohfa tha ek dagh mere dil par
wo dagh bhi ab lekin jata nazar aata hai
aankhon ke muqabil hai kaisa ye 'ajab manzar
sahra to nahin lekin sahra nazar aata hai
ek shakl si banti hai har shab meri nindon mein
ek phul sa KHwabon mein khilta nazar aata hai
aankhon ne nahin dekhi us jism ki ra'nai
ye chaar taraf jis ka saya nazar aata hai
dariya ko kinare se kya dekhte rahte ho
andar se kabhi dekho kaisa nazar aata hai
phir zau mein 'nadim' apni kuchh kam hai sitara wo
ye raat ka aaina dhundla nazar aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.