andhe gunge bahre log
andhe gūñge bahre log
ujle kapḌe maile log
kam-umrī meñ sunet haiñ
mar jaate haiñ achchhe log
bhaag rahe haiñ duniyā meñ
paañv ko sar pe rakkhe log
raste meñ mil jaate haiñ
titlī ke par jaise log
ā.īnoñ ko le kar saath
phirte haiñ be-chehre log
mahñge ghar meñ rahte haiñ
barf ke jaise ThanDe log
daur-e-hāzir meñ 'jāved'
kapḌoñ meñ haiñ nañge log
andhe gunge bahre log
ujle kapDe maile log
kam-umri mein sunet hain
mar jate hain achchhe log
bhag rahe hain duniya mein
panw ko sar pe rakkhe log
raste mein mil jate hain
titli ke par jaise log
aainon ko le kar sath
phirte hain be-chehre log
mahnge ghar mein rahte hain
barf ke jaise ThanDe log
daur-e-hazir mein 'jawed'
kapDon mein hain nange log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.