aks zaKHmon ka jabin par nahin aane deta
aks zaḳhmoñ kā jabīñ par nahīñ aane detā
maiñ ḳharāsh apne yaqīñ par nahīñ aane detā
is liye maiñ ne ḳhatā kī thī ki duniyā dekhūñ
varna vo mujh ko zamīñ par nahīñ aane detā
umr bhar sīñchte rahne kī sazā paa.ī hai
peḌ ab chhāñv hamīñ par nahīñ aane detā
jhuuT bhī sach kī tarah bolnā aatā hai use
koī luknat bhī kahīñ par nahīñ aane detā
apne is ahd kā insāf hai tāqat kā ġhulām
aañch bhī kursī-nashīñ par nahīñ aane detā
chāhtā huuñ ki use pūjnā chhoḌūñ lekin
kufr jo ḳhuuñ meñ hai diiñ par nahīñ aane detā
aks zaKHmon ka jabin par nahin aane deta
main KHarash apne yaqin par nahin aane deta
is liye main ne KHata ki thi ki duniya dekhun
warna wo mujh ko zamin par nahin aane deta
umr bhar sinchte rahne ki saza pai hai
peD ab chhanw hamin par nahin aane deta
jhuT bhi sach ki tarah bolna aata hai use
koi luknat bhi kahin par nahin aane deta
apne is ahd ka insaf hai taqat ka ghulam
aanch bhi kursi-nashin par nahin aane deta
chahta hun ki use pujna chhoDun lekin
kufr jo KHun mein hai din par nahin aane deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.