ajnabi bud-o-bash ke qurb-o-jawar mein mila
ajnabī būd-o-bāsh ke qurb-o-javār meñ milā
bichhḌā to vo mujhe kisī aur dayār meñ milā
mere liye vo kam-numā hairat-e-gul banā rahā
aañkh ke vast meñ sadā ek ġhubār meñ milā
baaġh thā jis tarah sajā us meñ kisī kā haath thā
jaisā bhī koī phuul thā ek qatār meñ milā
yā to vo ek ḳhvāb thā TuuT ke juḌtā hī rahā
yā phir ḳhalal nigāh kā aañkh ke taar meñ milā
'arsa vo mere 'ishq kā niklā koī fareb sā
maiñ thā kahāñ vo ḳhud-numā ḳhud hī se pyaar meñ milā
itnī ziyāda bhiiḌ thī baat na us se ho sakī
pal bhar vo tez vaqt kī rāhguzār meñ milā
barf thī kab thī vo havā ghar se yūñhī nikal paḌā
jism ke kaTne kā maza jaaḌe kī dhaar meñ milā
shahr vo thā 'ajīb sā jo bhī vahāñ pe shaḳhs thā
band bahut burī tarah ek hisār meñ milā
ye mire maah ye baras merī hayāt-e-yak-nafas
merā jahān-e-ḳhār-o-ḳhas mujh ko udhār meñ milā
phuul kuchh is tarah khilā dil bhī zarā sā kaT gayā
thoḌā sā rang ḳhuun kā rañg-e-bahār meñ milā
shaam hī se mah-e-tamām chaḌhne lagā falak kā baam
āḳhir-e-shab ye narm-gām ek utaar meñ milā
'shāhīñ' guloñ kā qāfila jis meñ sharīk vo bhī thā
ek jagah rukā huā vādī-e-ḳhār meñ milā
ajnabi bud-o-bash ke qurb-o-jawar mein mila
bichhDa to wo mujhe kisi aur dayar mein mila
mere liye wo kam-numa hairat-e-gul bana raha
aankh ke wast mein sada ek ghubar mein mila
bagh tha jis tarah saja us mein kisi ka hath tha
jaisa bhi koi phul tha ek qatar mein mila
ya to wo ek KHwab tha TuT ke juDta hi raha
ya phir KHalal nigah ka aankh ke tar mein mila
'arsa wo mere 'ishq ka nikla koi fareb sa
main tha kahan wo KHud-numa KHud hi se pyar mein mila
itni ziyaada bhiD thi baat na us se ho saki
pal bhar wo tez waqt ki rahguzar mein mila
barf thi kab thi wo hawa ghar se yunhi nikal paDa
jism ke kaTne ka maza jaDe ki dhaar mein mila
shahr wo tha 'ajib sa jo bhi wahan pe shaKHs tha
band bahut buri tarah ek hisar mein mila
ye mere mah ye baras meri hayat-e-yak-nafas
mera jahan-e-KHar-o-KHas mujh ko udhaar mein mila
phul kuchh is tarah khila dil bhi zara sa kaT gaya
thoDa sa rang KHun ka rang-e-bahaar mein mila
sham hi se mah-e-tamam chaDhne laga falak ka baam
aaKHir-e-shab ye narm-gam ek utar mein mila
'shahin' gulon ka qafila jis mein sharik wo bhi tha
ek jagah ruka hua wadi-e-KHar mein mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.