'ajab sūrat se dil ghabrā rahā hai
hañsī ke saath ronā aa rahā hai
mujhe dil se bhulāyā jā rahā hai
pasīne par pasīnā aa rahā hai
muravvat shart hai ai yād-e-jānāñ
tamannāoñ kā jī ghabrā rahā hai
mirī nīñdeñ to āñkhoñ se uḌā diiñ
magar ḳhud vaqt soyā jā rahā hai
adab kar ai ġham-e-daurāñ adab kar
kisī kī yaad meñ farq aa rahā hai
ye aadhī raat ye kāfir añdherā
na sotā huuñ na jaagā jā rahā hai
zarā dekho ye sarkash zarra-e-ḳhāk
falak kā chāñd bantā jā rahā hai
'sirāj' ab dilkashī kyā zindagī meñ
ba-mushkil vaqt kaaTā jā rahā hai
'ajab surat se dil ghabra raha hai
hansi ke sath rona aa raha hai
mujhe dil se bhulaya ja raha hai
pasine par pasina aa raha hai
murawwat shart hai ai yaad-e-jaanan
tamannaon ka ji ghabra raha hai
meri ninden to aankhon se uDa din
magar KHud waqt soya ja raha hai
adab kar ai gham-e-dauran adab kar
kisi ki yaad mein farq aa raha hai
ye aadhi raat ye kafir andhera
na sota hun na jaga ja raha hai
zara dekho ye sarkash zarra-e-KHak
falak ka chand banta ja raha hai
'siraj' ab dilkashi kya zindagi mein
ba-mushkil waqt kaTa ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.