aisa ho zindagi mein koi KHwab hi na ho
aisā ho zindagī meñ koī ḳhvāb hī na ho
añdhiyārī raat meñ koī mahtāb hī na ho
sūkhe daraḳht kī tarah dariyā meñ gir paḌeñ
marne ke vāste koī sailāb hī na ho
puujā kareñ magar na duā ko uThā.eñ haath
shahr-e-havas meñ ma.abad-e-arbāb hī na ho
mar jaa.eñ is se pahle ki vo faisla kareñ
hāthoñ meñ koī pyāla-e-zahrāb hī na ho
'māmūn' jal ke ḳhaak meñ mil jaa.e chashm-e-tar
aañsū bahāne chashma-e-sardāb hī na ho
aisa ho zindagi mein koi KHwab hi na ho
andhiyari raat mein koi mahtab hi na ho
sukhe daraKHt ki tarah dariya mein gir paDen
marne ke waste koi sailab hi na ho
puja karen magar na dua ko uThaen hath
shahr-e-hawas mein mabad-e-arbab hi na ho
mar jaen is se pahle ki wo faisla karen
hathon mein koi pyala-e-zahrab hi na ho
'mamun' jal ke KHak mein mil jae chashm-e-tar
aansu bahane chashma-e-sardab hi na ho
- Book : Sanson Ke Paar (Pg. 212)
- Author : Khalil Mamoon
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.