Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai yas jo tu dil mein aai sab kuchh hua par kuchh bhi na hua

Haqeer

ai yas jo tu dil mein aai sab kuchh hua par kuchh bhi na hua

Haqeer

MORE BYHaqeer

    ai yaas jo dil meñ aa.ī sab kuchh huā par kuchh bhī na huā

    yaañ ho ga.ī ḳhāna-vīrānī aur terā zarar kuchh bhī na huā

    thā qasd ki un ko rokeñgi shab guzrī inhīñ andeshoñ meñ

    par hā.e-re nākāmī dil hañgām-e-sahar kuchh bhī na huā

    ehsān tirā mujh par hotā gar ruuh ko kartā tan se judā

    jab jaan bachī furqat shab ai dard-e-jigar kuchh bhī na huā

    ai kaash vo bāteñ hotīñ jo vahshat-e-dil ko kam kartīñ

    itnā jo bakā to ai nāseh mujh ko to asar kuchh bhī na huā

    ab chāhiye aisī fikr tujhe jis se ki nazāre Thahre

    har vaqt ke rone se hāsil ai dīda-e-tar kuchh bhī na huā

    dil aur jigar jaañ aur ye sar ham shauq se laa.e paas tire

    qismat gila ab kis se kareñ manzūr-e-nazar kuchh bhī na huā

    us se javāb-e-ḳhat laanā qāsid itnā kah denā

    bachne nahīñ bīmār tirā irshād agar kuchh bhī na huā

    dhun vasl tujh par ġhālib hai aish-o-tarab tālib hai

    kyā lutf 'haqīr' is ulfat betāb agar kuchh bhī na huā

    ai yas jo tu dil mein aai sab kuchh hua par kuchh bhi na hua

    yan ho gai KHana-virani aur tera zarar kuchh bhi na hua

    tha qasd ki un ko rokengi shab guzri inhin andeshon mein

    par hae-re nakaami dil ki hangam-e-sahar kuchh bhi na hua

    ehsan tera mujh par hota gar ruh ko karta tan se juda

    jab jaan bachi furqat ki shab ai dard-e-jigar kuchh bhi na hua

    ai kash wo baaten ki hotin jo wahshat-e-dil ko kam kartin

    itna jo baka to ai naseh mujh ko to asar kuchh bhi na hua

    ab chahiye aisi fikr tujhe jis se ki nazare ki Thahre

    har waqt ke rone se hasil ai dida-e-tar kuchh bhi na hua

    dil aur jigar jaan aur ye sar hum shauq se lae pas tere

    qismat ka gila ab kis se karen manzur-e-nazar kuchh bhi na hua

    ya us se jawab-e-KHat lana ya qasid itna kah dena

    bachne ka nahin bimar tera irshad agar kuchh bhi na hua

    dhun wasl ki tujh par ghaalib hai tu aish-o-tarab ka talib hai

    kya lutf 'haqir' is ulfat ka betab agar kuchh bhi na hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now