ai meri zat ke sukun aa ja
ai mirī zaat ke sukūñ aa jā
tham na jaa.e kahīñ junūñ aa jā
raat se ek soch meñ gum huuñ
kis bahāne tujhe kahūñ aa jā
haath jis moḌ par chhuḌāyā thā
maiñ vahīñ par huuñ sar nigūñ aa jā
yaad hai surḳh phuul kā tohfa?
ho chalā vo bhī nīl-gūñ aa jā
chāñd tāroñ se kab talak āḳhir
terī bāteñ kiyā karūñ aa jā
apnī vahshat se ḳhauf aatā hai
kab se vīrāñ hai andarūñ aa jā
is se pahle ki maiñ aziyyat meñ
apnī āñkhoñ ko noch luuñ aa jā
dekh! maiñ yaad kar rahī huuñ tujhe
phir maiñ ye bhī na kar sakūñ aa jā
ai meri zat ke sukun aa ja
tham na jae kahin junun aa ja
raat se ek soch mein gum hun
kis bahane tujhe kahun aa ja
hath jis moD par chhuDaya tha
main wahin par hun sar nigun aa ja
yaad hai surKH phul ka tohfa?
ho chala wo bhi nil-gun aa ja
chand taron se kab talak aaKHir
teri baaten kiya karun aa ja
apni wahshat se KHauf aata hai
kab se viran hai andarun aa ja
is se pahle ki main aziyyat mein
apni aankhon ko noch lun aa ja
dekh! main yaad kar rahi hun tujhe
phir main ye bhi na kar sakun aa ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.