ai mere dil tu bata tujhko gawara kya hai
ai mere dil tū batā tujh ko gavāra kyā hai
jo tirā dard hai so hai batā chāra kyā hai
apnī bābat kabhī pūchhā to batā.eñge use
Dūbne vāloñ ko tinke kā sahārā kyā hai
aur bhaTkeñge to kuchh aur nayā dekheñge
ham to āvāra parinde haiñ hamārā kyā hai
roz ik shaḳhs kī yādoñ kā janāza Dhoyā
'umr ke naam pe ham ne bhī guzāra kyā hai
ek din hañste hue kahne lagī vo mujh se
saare ash'ār to mere haiñ tumhārā kyā hai
ai mere dil tu bata tujh ko gawara kya hai
jo tera dard hai so hai bata chaara kya hai
apni babat kabhi puchha to bataenge use
Dubne walon ko tinke ka sahaara kya hai
aur bhaTkenge to kuchh aur naya dekhenge
hum to aawara parinde hain hamara kya hai
roz ek shaKHs ki yaadon ka janaza Dhoya
'umr ke nam pe hum ne bhi guzara kya hai
ek din hanste hue kahne lagi wo mujh se
sare ash'ar to mere hain tumhaara kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.