ai KHuda ret ke sahra ko samundar kar de
ai ḳhudā ret ke sahrā ko samundar kar de
yā chhalaktī huī āñkhoñ ko bhī patthar kar de
tujh ko dekhā nahīñ mahsūs kiyā hai maiñ ne
aa kisī din mire ehsās ko paikar kar de
qaid hone se rahīñ niiñd kī chanchal pariyāñ
chāhe jitnā bhī ġhilāfoñ ko mo.attar kar de
dil lubhāte hue ḳhvāboñ se kahīñ behtar hai
ek aañsū ki jo āñkhoñ ko munavvar kar de
aur kuchh bhī mujhe darkār nahīñ hai lekin
merī chādar mire pairoñ ke barābar kar de
ai KHuda ret ke sahra ko samundar kar de
ya chhalakti hui aankhon ko bhi patthar kar de
tujh ko dekha nahin mahsus kiya hai main ne
aa kisi din mere ehsas ko paikar kar de
qaid hone se rahin nind ki chanchal pariyan
chahe jitna bhi ghilafon ko moattar kar de
dil lubhate hue KHwabon se kahin behtar hai
ek aansu ki jo aankhon ko munawwar kar de
aur kuchh bhi mujhe darkar nahin hai lekin
meri chadar mere pairon ke barabar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.