ai charḳh kaash aag lage terī chaal meñ
ik ruuh thī har ārzū-e-pā.emāl meñ
har zaḳhm-e-dil hai ahd-e-mohabbat kī yādgār
jī chāhtā hai der lage indimāl meñ
vo bhiiḌ hai ki DhūñDhnā terā to darkinār
ḳhud khoyā jā rahā huuñ hujūm-e-ḳhayāl meñ
kuchh aur māñgnā mire mashrab meñ kufr hai
lā apnā haath de mire dast-e-savāl meñ
in āñsuoñ meñ rang-e-tabassum bhī ghol de
zālim koī maza bhī to aa.e malāl meñ
haañ tum ko bhuul jaane kī koshish kareñge ham
tum se bhī ho sake to na aanā ḳhayāl meñ
tohmat junūñ kī mujh ko gavāra magar 'sirāj'
vo ishq kyā rahe jo had-e-e'tidāl meñ
ai charKH kash aag lage teri chaal mein
ek ruh thi har aarzu-e-paemal mein
har zaKHm-e-dil hai ahd-e-mohabbat ki yaadgar
ji chahta hai der lage indimal mein
wo bhiD hai ki DhunDhna tera to darkinar
KHud khoya ja raha hun hujum-e-KHayal mein
kuchh aur mangna mere mashrab mein kufr hai
la apna hath de mere dast-e-sawal mein
in aansuon mein rang-e-tabassum bhi ghol de
zalim koi maza bhi to aae malal mein
han tum ko bhul jaane ki koshish karenge hum
tum se bhi ho sake to na aana KHayal mein
tohmat junun ki mujh ko gawara magar 'siraj'
wo ishq kya rahe jo had-e-e'tidal mein
Source :
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 178)
- Author : فرحت احساس
-
Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
(2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.