ai bhanwar teri tarah bebak ho jaenge hum
ai bhañvar terī tarah bebāk ho jā.eñge ham
saath meñ rah kar tire tairāk ho jā.eñge ham
dekh maujoñ ke havāle is tarah mat kar hameñ
varna ai sāhil tire saffāk ho jā.eñge ham
shāḳh se kaT kar alag hone kā ham ko ġham nahīñ
phuul haiñ ḳhushbū luTā kar ḳhaak ho jā.eñge ham
ham kabūtar kī tarah shaffāf haiñ ma.asūm haiñ
tū miTā.egā to phir chālāk ho jā.eñge ham
oḌh leñge ye zamīñ chādar kī tarah ek din
ek din miTTī tirī ḳhurāk ho jā.eñge ham
sub.h hote hī umīdeñ thapkiyāñ deñgī hameñ
shaam hote hī bahut namnāk ho jā.eñge ham
aag to gulzār ban jaatī hai rāh-e-shauq meñ
tum samajhte the ki jal kar raakh ho jā.eñge ham
zindagī rassī pe chaltā ik madārī hai 'vasīm'
kyā pata hai kab supurd-e-ḳhāk ho jā.eñge ham
ai bhanwar teri tarah bebak ho jaenge hum
sath mein rah kar tere tairak ho jaenge hum
dekh maujon ke hawale is tarah mat kar hamein
warna ai sahil tere saffak ho jaenge hum
shaKH se kaT kar alag hone ka hum ko gham nahin
phul hain KHushbu luTa kar KHak ho jaenge hum
hum kabutar ki tarah shaffaf hain masum hain
tu miTaega to phir chaalak ho jaenge hum
oDh lenge ye zamin chadar ki tarah ek din
ek din miTTi teri KHurak ho jaenge hum
subh hote hi umiden thapkiyan dengi hamein
sham hote hi bahut namnak ho jaenge hum
aag to gulzar ban jati hai rah-e-shauq mein
tum samajhte the ki jal kar rakh ho jaenge hum
zindagi rassi pe chalta ek madari hai 'wasim'
kya pata hai kab supurd-e-KHak ho jaenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.