agar safar mein mere sath mera yar chale
agar safar meñ mire saath merā yaar chale
tavāf kartā huā mausam-e-bahār chale
lagā ke vaqt ko Thokar jo ḳhāksār chale
yaqīñ ke qāfile hamrāh be-shumār chale
navāznā hai to phir is tarah navāz mujhe
ki mere baa'd mirā zikr baar baar chale
ye jism kyā hai koī pairahan udhār kā hai
yahīñ sañbhāl ke pahnā yahīñ utaar chale
ye jugnuoñ se bharā āsmāñ jahāñ tak hai
vahāñ talak tirī nazroñ kā iqtidār chale
yahī to ek tamannā hai is musāfir kī
jo tum nahīñ to safar meñ tumhārā pyaar chale
agar safar mein mere sath mera yar chale
tawaf karta hua mausam-e-bahaar chale
laga ke waqt ko Thokar jo KHaksar chale
yaqin ke qafile hamrah be-shumar chale
nawazna hai to phir is tarah nawaz mujhe
ki mere ba'd mera zikr bar bar chale
ye jism kya hai koi pairahan udhaar ka hai
yahin sanbhaal ke pahna yahin utar chale
ye jugnuon se bhara aasman jahan tak hai
wahan talak teri nazron ka iqtidar chale
yahi to ek tamanna hai is musafir ki
jo tum nahin to safar mein tumhaara pyar chale
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 669)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.