adu ke takne ko tum idhar dekho udhar dekho
adū ke tākne ko tum idhar dekho udhar dekho
magar ham tum ko dekhe jaa.eñ tum chāho jidhar dekho
laḌā.ī se yūñhī to rokte rahte haiñ ham tum ko
ki dil kā bhed kah detī hai tum chāho jidhar dekho
adā.eñ dekhne baiThe ho kyā ā.īne meñ apnī
diyā hai jis ne tum jaise ko dil us kā jigar dekho
savāl-e-vasl par kuchh soch kar us ne kahā mujh se
abhī va.ada to kar sakte nahīñ haiñ ham magar dekho
na karnā tark 'beḳhud' mohtasib ke Dar se mai-ḳhvārī
kahīñ dhabbā lagā lenā na apne naam par dekho
adu ke takne ko tum idhar dekho udhar dekho
magar hum tum ko dekhe jaen tum chaho jidhar dekho
laDai se yunhi to rokte rahte hain hum tum ko
ki dil ka bhed kah deti hai tum chaho jidhar dekho
adaen dekhne baiThe ho kya aaine mein apni
diya hai jis ne tum jaise ko dil us ka jigar dekho
sawal-e-wasl par kuchh soch kar us ne kaha mujh se
abhi wada to kar sakte nahin hain hum magar dekho
na karna tark 'beKHud' mohtasib ke Dar se mai-KHwari
kahin dhabba laga lena na apne nam par dekho
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 175)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.