achanak dilruba mausam ka dil-azar ho jaana
achānak dilrubā mausam kā dil-āzār ho jaanā
duā āsāñ nahīñ rahnā suḳhan dushvār ho jaanā
tumheñ dekheñ nigāheñ aur tum ko hī nahīñ dekheñ
mohabbat ke sabhī rishtoñ kā yuuñ nādār ho jaanā
abhī to be-niyāzī meñ taḳhātub kī sī ḳhushbū thī
hameñ achchhā lagā thā dard kā dildār ho jaanā
agar sach itnā zālim hai to ham se jhuuT hī bolo
hameñ aatā hai patjhaḌ ke dinoñ gul-bār ho jaanā
abhī kuchh an-kahe alfāz bhī haiñ kunj-e-mizhgāñ meñ
agar tum is taraf aao sabā-raftār ho jaanā
havā to ham-safar Thahrī samajh meñ kis tarah aa.e
havāoñ kā hamārī raah meñ dīvār ho jaanā
abhī to silsila apnā zamīñ se āsmāñ tak thā
abhī dekhā thā rātoñ kā sahar-āsār ho jaanā
hamāre shahr ke logoñ kā ab ahvāl itnā hai
kabhī aḳhbār paḌh lenā kabhī aḳhbār ho jaanā
achanak dilruba mausam ka dil-azar ho jaana
dua aasan nahin rahna suKHan dushwar ho jaana
tumhein dekhen nigahen aur tum ko hi nahin dekhen
mohabbat ke sabhi rishton ka yun nadar ho jaana
abhi to be-niyazi mein taKHatub ki si KHushbu thi
hamein achchha laga tha dard ka dildar ho jaana
agar sach itna zalim hai to hum se jhuT hi bolo
hamein aata hai patjhaD ke dinon gul-bar ho jaana
abhi kuchh an-kahe alfaz bhi hain kunj-e-mizhgan mein
agar tum is taraf aao saba-raftar ho jaana
hawa to ham-safar Thahri samajh mein kis tarah aae
hawaon ka hamari rah mein diwar ho jaana
abhi to silsila apna zamin se aasman tak tha
abhi dekha tha raaton ka sahar-asar ho jaana
hamare shahr ke logon ka ab ahwal itna hai
kabhi aKHbar paDh lena kabhi aKHbar ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.