ab udas phirte ho sardiyon ki shamon mein
ab udaas phirte ho sardiyoñ kī shāmoñ meñ
is tarah to hotā hai is tarah ke kāmoñ meñ
ab to us kī āñkhoñ ke mai-kade mayassar haiñ
phir sukūn DhūñDoge sāġharoñ meñ jāmoñ meñ
dostī kā da.avā kyā āshiqī se kyā matlab
maiñ tire faqīroñ meñ maiñ tire ġhulāmoñ meñ
zindagī bikhartī hai shā.erī nikhartī hai
dilbaroñ kī galiyoñ meñ dil-lagī ke kāmoñ meñ
jis tarah 'sho.eb' us kā naam chun liyā tum ne
us ne bhī hai chun rakkhā ek naam nāmoñ meñ
ab udas phirte ho sardiyon ki shamon mein
is tarah to hota hai is tarah ke kaamon mein
ab to us ki aankhon ke mai-kade mayassar hain
phir sukun DhunDoge sagharon mein jamon mein
dosti ka dawa kya aashiqi se kya matlab
main tere faqiron mein main tere ghulamon mein
zindagi bikharti hai shaeri nikharti hai
dilbaron ki galiyon mein dil-lagi ke kaamon mein
jis tarah 'shoeb' us ka nam chun liya tum ne
us ne bhi hai chun rakkha ek nam namon mein
- Book : muntakhab shahkaar ghazle.n (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.