ab nahin dard chhupane ka qarina mujh mein
ab nahīñ dard chhupāne kā qarīna mujh meñ
kyā karūñ bas gayā ik shaḳhs anokhā mujh meñ
us kī āñkheñ mujhe mahsūr kiye rakhtī haiñ
vo jo ik shaḳhs hai muddat se saf-ārā mujh meñ
apnī miTTī se rahī aisī rifāqat mujh ko
phailtā jaatā hai ik ret kā sahrā mujh meñ
mere chehre pe agar karb ke āsār nahīñ
ye na samjho ki nahīñ koī tamannā mujh meñ
maiñ kināre pe khaḌā huuñ to koī baat nahīñ
bahtā rahtā hai tirī yaad kā dariyā mujh meñ
Duub to jā.ūñ tirī mad-bharī āñkhoñ meñ magar
laḌkhaḌāne kā nahīñ hausla itnā mujh meñ
jab se ik shaḳhs ne dekhā hai mohabbat se 'baqā'
phailtā jaatā hai har roz ujālā mujh meñ
ab nahin dard chhupane ka qarina mujh mein
kya karun bas gaya ek shaKHs anokha mujh mein
us ki aankhen mujhe mahsur kiye rakhti hain
wo jo ek shaKHs hai muddat se saf-ara mujh mein
apni miTTi se rahi aisi rifaqat mujh ko
phailta jata hai ek ret ka sahra mujh mein
mere chehre pe agar karb ke aasar nahin
ye na samjho ki nahin koi tamanna mujh mein
main kinare pe khaDa hun to koi baat nahin
bahta rahta hai teri yaad ka dariya mujh mein
Dub to jaun teri mad-bhari aankhon mein magar
laDkhaDane ka nahin hausla itna mujh mein
jab se ek shaKHs ne dekha hai mohabbat se 'baqa'
phailta jata hai har roz ujala mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.