aayat-e-husn ki jab maine tilawat ki thi
āyat-e-husn kī jab maiñ ne tilāvat kī thī
ishq ne aa ke mire haath pe bai.at kī thī
jab subūt aur zamāna thā mohabbat ke ḳhilāf
maiñ ne us vaqt zuleḳhā kī himāyat kī thī
mujh ko marne na diyā sher utāre mujh par
ishq ne bas ye mire saath ri.āyat kī thī
garm bāzār hai dil kā to ḳhasāra hī sahī
tai ḳharīdār se maiñ ne yahī qīmat kī thī
tum jo phir pūchhne aa.e ho unhī bātoñ kī
maiñ ne chup rah ke ka.ī baar vazāhat kī thī
aayat-e-husn ki jab main ne tilawat ki thi
ishq ne aa ke mere hath pe baiat ki thi
jab subut aur zamana tha mohabbat ke KHilaf
main ne us waqt zuleKHa ki himayat ki thi
mujh ko marne na diya sher utare mujh par
ishq ne bas ye mere sath riayat ki thi
garm bazar hai dil ka to KHasara hi sahi
tai KHaridar se main ne yahi qimat ki thi
tum jo phir puchhne aae ho unhi baaton ki
main ne chup rah ke kai bar wazahat ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.