aap kahen to gulshan hai
aap kaheñ to gulshan hai
varna dil ik madfan hai
aag lagī hai sāñsoñ meñ
haa.e ye kaisā sāvan hai
un se merī baat na pūchh
un se merī an-ban hai
panchhī panchhī sahm gayā
dost ye achchhā gulshan hai
tārīkī miT jā.egī
mish.al mish.al raushan hai
vaqt kī har āvāz 'zafar'
mere dil kī dhaḌkan hai
aap kahen to gulshan hai
warna dil ek madfan hai
aag lagi hai sanson mein
hae ye kaisa sawan hai
un se meri baat na puchh
un se meri an-ban hai
panchhi panchhi sahm gaya
dost ye achchha gulshan hai
tariki miT jaegi
mishal mishal raushan hai
waqt ki har aawaz 'zafar'
mere dil ki dhaDkan hai
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 111)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.