Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon ke aainon mein tawanai aaegi

Khaleel Rampuri

aankhon ke aainon mein tawanai aaegi

Khaleel Rampuri

MORE BYKhaleel Rampuri

    āñkhoñ ke ā.inoñ meñ tavānā.ī aa.egī

    dekhegā sabz khet to bīnā.ī aa.egī

    pā.egā ḳhushbuoñ se zamīnoñ ke bhed bhī

    ik roz tere kaam shanāsā.ī aa.egī

    peḌoñ chhāñv chhoḌ kisī āb-e-jū pe baiTh

    tujh meñ nahīñ to aks meñ ra.anā.ī aa.egī

    duniyā sair kar ke nikhar jā.egā ḳhayāl

    taaza havā lagegī to dānā.ī aa.egī

    har naqsh āb-o-ḳhāk dil meñ utaar le

    fankār hai to tāqat-e-goyā.ī aa.egī

    shā.ir tarah Dol rahā hai ḳhalāoñ meñ

    logoñ meñ baiTh anjuman-ārā.ī aa.egī

    andhoñ ke is nagar meñ diye misāl ban

    sahrā meñ gul khulegā to yaktā.ī aa.egī

    shaffāf pāniyoñ tarah zindagī guzār

    sūraj tarah tujh meñ tavānā.ī aa.egī

    ghar meñ diyā jalā ki lage boltā huā

    dīvār-o-dar pe zīnat-o-zebā.ī aa.egī

    saaya bhī terā tujh ko kahīñ chhoḌ jā.egā

    aa.ī bhī tere kaam to tanhā.ī aa.egī

    garmī bahut hai aaj khulā rakh makān ko

    us galī se raat ko purvā.ī aa.egī

    kaafī hai jo ġhazal ke liye kah liyā 'ḳhalīl'

    aage qadam rakhegā to gahrā.ī aa.egī

    aankhon ke aainon mein tawanai aaegi

    dekhega sabz khet to binai aaegi

    paega KHushbuon se zaminon ke bhed bhi

    ek roz tere kaam shanasai aaegi

    peDon ki chhanw chhoD kisi aab-e-ju pe baiTh

    tujh mein nahin to aks mein ranai aaegi

    duniya ki sair kar ke nikhar jaega KHayal

    taza hawa lagegi to danai aaegi

    har naqsh aab-o-KHak ka dil mein utar le

    fankar hai to taqat-e-goyai aaegi

    shair ki tarah Dol raha hai KHalaon mein

    logon mein baiTh anjuman-arai aaegi

    andhon ke is nagar mein diye ki misal ban

    sahra mein gul khulega to yaktai aaegi

    shaffaf paniyon ki tarah zindagi guzar

    suraj ki tarah tujh mein tawanai aaegi

    ghar mein diya jala ki lage bolta hua

    diwar-o-dar pe zinat-o-zebai aaegi

    saya bhi tera tujh ko kahin chhoD jaega

    aai bhi tere kaam to tanhai aaegi

    garmi bahut hai aaj khula rakh makan ko

    us ki gali se raat ko purwai aaegi

    kafi hai jo ghazal ke liye kah liya 'KHalil'

    aage qadam rakhega to gahrai aaegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now