aankhen yun barsin pairahan bhig gaya
āñkheñ yuuñ barsīñ pairāhan bhiig gayā
tere dhyān meñ saarā sāvan bhiig gayā
ḳhushk mahāzo baḌh ke mujhe salāmī do
mere lahū kī chhīñToñ se ran bhiig gayā
tum ne mai pī chuur chuur maiñ nashshe meñ
kis ne nichoḌā kis kā dāman bhiig gayā
kyā namnāk hañsī dīvār-o-dar par thī
bachā khuchā sab rañg o roġhan bhiig gayā
sajnī kī āñkhoñ meñ chhup kar jab jhāñkā
bin holī khele hī sājan bhiig gayā
aankhen yun barsin pairahan bhig gaya
tere dhyan mein sara sawan bhig gaya
KHushk mahazo baDh ke mujhe salami do
mere lahu ki chhinTon se ran bhig gaya
tum ne mai pi chur chur main nashshe mein
kis ne nichoDa kis ka daman bhig gaya
kya namnak hansi diwar-o-dar par thi
bacha khucha sab rang o roghan bhig gaya
sajni ki aankhon mein chhup kar jab jhanka
bin holi khele hi sajan bhig gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.