aaj yaadon ne ajab rang bikhere dil mein
aaj yādoñ ne ajab rañg bikhere dil meñ
muskurāte haiñ sar-e-shām savere dil meñ
ye tabassum kā ujālā ye nigāhoñ kī sahar
log yuuñ bhī to chhupāte haiñ añdhere dil meñ
sūrat-e-bād-e-sabā qāfila-e-yād aayā
zaḳhm-dar-zaḳhm khile phuul se mere dil meñ
yaas kī raat kaTī aas kā sūraj chamkā
phir bhī chamke na kisī roz savere dil meñ
ik mirī vahshat-e-be-nām pe is tarah na soch
kitnī bāteñ haiñ jo khaTkī nahīñ tere dil meñ
dhyān kī sham.a kī lau tez bhī kar dete haiñ
aksar auqāt tirī yaad ke phere dil meñ
na milī fursat-e-āsā.ish-e-ta.abīr-e-urūj
ek muddat se haiñ ḳhvāboñ ke basere dil meñ
aaj yaadon ne ajab rang bikhere dil mein
muskuraate hain sar-e-sham sawere dil mein
ye tabassum ka ujala ye nigahon ki sahar
log yun bhi to chhupate hain andhere dil mein
surat-e-baad-e-saba qafila-e-yaad aaya
zaKHm-dar-zaKHm khile phul se mere dil mein
yas ki raat kaTi aas ka suraj chamka
phir bhi chamke na kisi roz sawere dil mein
ek meri wahshat-e-be-nam pe is tarah na soch
kitni baaten hain jo khaTki nahin tere dil mein
dhyan ki shama ki lau tez bhi kar dete hain
aksar auqat teri yaad ke phere dil mein
na mili fursat-e-asaish-e-tabir-e-uruj
ek muddat se hain KHwabon ke basere dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.