aaina tha to jo chehra tha mera apna tha
aa.ina thā to jo chehra thā mirā apnā thā
mujh meñ jo aks bhī utrā thā mirā apnā thā
vo jo aahaT thī koī ruup nahīñ dhaar sakī
vo jo dīvār pe saayā thā mirā apnā thā
vo jo hoñToñ pe tapan sī thī vo merī zid thī
vo jo dariyāoñ pe pahrā thā mirā apnā thā
mere raste meñ jo raunaq thī mere fan kī thī
mere ghar meñ jo añdherā thā mirā apnā thā
ajnabiyyat kā vo ehsās thā merī qismat
vo jo apnā nahīñ lagtā thā mirā apnā thā
merī sochoñ meñ jo manzil thī merī apnī thī
mere qadmoñ meñ jo rasta thā mirā apnā thā
sirf paanī pe to qabza thā mere dushman kā
mujh meñ jo ḳhuun kā dajla thā mirā apnā thā
aaina tha to jo chehra tha mera apna tha
mujh mein jo aks bhi utra tha mera apna tha
wo jo aahaT thi koi rup nahin dhaar saki
wo jo diwar pe saya tha mera apna tha
wo jo honTon pe tapan si thi wo meri zid thi
wo jo dariyaon pe pahra tha mera apna tha
mere raste mein jo raunaq thi mere fan ki thi
mere ghar mein jo andhera tha mera apna tha
ajnabiyyat ka wo ehsas tha meri qismat
wo jo apna nahin lagta tha mera apna tha
meri sochon mein jo manzil thi meri apni thi
mere qadmon mein jo rasta tha mera apna tha
sirf pani pe to qabza tha mere dushman ka
mujh mein jo KHun ka dajla tha mera apna tha
- Book : ras-Rang(Mehfil-e-Adab) (Pg. 8)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.