aabla-pa koi is dasht mein aaya hoga
ābla-pā koī is dasht meñ aayā hogā
varna āñdhī meñ diyā kis ne jalāyā hogā
zarre zarre pe jaḌe hoñge kuñvāre sajde
ek ik but ko ḳhudā us ne banāyā hogā
pyaas jalte hue kāñToñ kī bujhā.ī hogī
riste paanī ko hathelī pe sajāyā hogā
mil gayā hogā agar koī sunahrī patthar
apnā TuuTā huā dil yaad to aayā hogā
ḳhuun ke chhīñTe kahīñ pūchh na leñ rāhoñ se
kis ne vīrāne ko gulzār banāyā hogā
aabla-pa koi is dasht mein aaya hoga
warna aandhi mein diya kis ne jalaya hoga
zarre zarre pe jaDe honge kunware sajde
ek ek but ko KHuda us ne banaya hoga
pyas jalte hue kanTon ki bujhai hogi
riste pani ko hatheli pe sajaya hoga
mil gaya hoga agar koi sunahri patthar
apna TuTa hua dil yaad to aaya hoga
KHun ke chhinTe kahin puchh na len rahon se
kis ne virane ko gulzar banaya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.