aa raha hai mere guman mein kya
aa rahā hai mire gumān meñ kyā
koī rahtā thā is makān meñ kyā
vo tapish hai ki jal uThe saa.e
dhuup rakkhī thī sā.ebān meñ kyā
ik tirī diid kī tamannā hai
aur rakkhā hai is jahān meñ kyā
kyā hamesha hī aisā hotā hai
moḌ aatā hai darmiyān meñ kyā
kī mire ba.ad qatl se tauba
āḳhirī tiir thā kamān meñ kyā
gūñgī bahrī basāratoñ ke liye
ḳhvāb likkhe the imtihān meñ kyā
kyā sukūñ kī talāsh hai sab ko
ek halchal sī hai jahān meñ kyā
ret sī uḌ rahī hai kyuuñ 'uzma'
lag gayā ghun kisī chaTān meñ kyā
aa raha hai mere guman mein kya
koi rahta tha is makan mein kya
wo tapish hai ki jal uThe sae
dhup rakkhi thi saeban mein kya
ek teri did ki tamanna hai
aur rakkha hai is jahan mein kya
kya hamesha hi aisa hota hai
moD aata hai darmiyan mein kya
ki mere baad qatl se tauba
aaKHiri tir tha kaman mein kya
gungi bahri basaraton ke liye
KHwab likkhe the imtihan mein kya
kya sukun ki talash hai sab ko
ek halchal si hai jahan mein kya
ret si uD rahi hai kyun 'uzma'
lag gaya ghun kisi chaTan mein kya
- Book : Sitara Pas e Mizgaan (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.