Sher on Tanz
We often use the word
“humour” with “satire” as they form a combination together and help us see the two aspects of life as such. Satires are of many kinds; they are dark and corrosive, as well as gentle and reformative. Verses in this section will help you appreciate the significance of satire in poetical terms.
ham ko ma.alūm hai jannat kī haqīqat lekin
dil ke ḳhush rakhne ko 'ġhālib' ye ḳhayāl achchhā hai
hum ko malum hai jannat ki haqiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'ghaalib' ye KHayal achchha hai
-
Tags : Famous shayariand 3 more
ham kyā kaheñ ahbāb kyā kār-e-numāyāñ kar ga.e
B.A hue naukar hue pension milī phir mar ga.e
hum kya kahen ahbab kya kar-e-numayan kar gae
BA hue naukar hue pension mili phir mar gae
-
Tag : Famous shayari
leaderoñ kī dhuum hai aur follower koī nahīñ
sab to general haiñ yahāñ āḳhir sipāhī kaun hai
leaderon ki dhum hai aur follower koi nahin
sab to general hain yahan aaKHir sipahi kaun hai
rakhnā hai kahīñ paañv to rakkho ho kahīñ paañv
chalnā zarā aayā hai to itrā.e chalo ho
rakhna hai kahin panw to rakkho ho kahin panw
chalna zara aaya hai to itrae chalo ho
pī leñge zarā shaiḳh to kuchh garm raheñge
ThanDā na kahīñ kar deñ ye jannat kī havā.eñ
pi lenge zara shaiKH to kuchh garm rahenge
ThanDa na kahin kar den ye jannat ki hawaen
uThte huoñ ko sab ne sahārā diyā 'kalīm'
girte hue ġharīb sambhāle kahāñ ga.e
uThte huon ko sab ne sahaara diya 'kalim'
girte hue gharib sambhaale kahan gae
hajv ne to tirā ai shaiḳh bharam khol diyā
tū to masjid meñ hai niyyat tirī mai-ḳhāne meñ
hajw ne to tera ai shaiKH bharam khol diya
tu to masjid mein hai niyyat teri mai-KHane mein
sunegā kaun merī chāk-dāmānī kā afsāna
yahāñ sab apne apne pairahan kī baat karte haiñ
sunega kaun meri chaak-damani ka afsana
yahan sab apne apne pairahan ki baat karte hain
kahtī hai ai 'riyāz' darāzī ye riish kī
TaTTī kī aaḌ meñ hai mazā kuchh shikār kā
kahti hai ai 'riyaz' daraazi ye rish ki
TaTTi ki aaD mein hai maza kuchh shikar ka
qaum ke ġham meñ dinner khāte haiñ hukkām ke saath
rañj leader ko bahut hai magar ārām ke saath
qaum ke gham mein dinner khate hain hukkaam ke sath
ranj leader ko bahut hai magar aaram ke sath
shaiḳh apnī rag ko kyā kareñ reshe ko kyā kareñ
maz.hab ke jhagḌe chhoḌeñ to peshe ko kyā kareñ
shaiKH apni rag ko kya karen reshe ko kya karen
mazhab ke jhagDe chhoDen to peshe ko kya karen
hue is qadar mohazzab kabhī ghar kā muñh na dekhā
kaTī umr hoTaloñ meñ mare aspatāl jā kar
stayed away from home, on being so gentrified
spent ones life in hotels, in hospitals then died
hue is qadar mohazzab kabhi ghar ka munh na dekha
kaTi umr hoTalon mein mare aspatal ja kar
stayed away from home, on being so gentrified
spent ones life in hotels, in hospitals then died
āshiqī kā ho burā us ne bigāḌe saare kaam
ham to a.b meñ rahe aġhyār b.a ho ga.e
aashiqi ka ho bura us ne bigaDe sare kaam
hum to ab mein rahe aghyar ba ho gae
koī hindū koī muslim koī īsā.ī hai
sab ne insān na banñe kī qasam khaa.ī hai
koi hindu koi muslim koi isai hai
sab ne insan na banne ki qasam khai hai
-
Tag : Insaan
mai bhī hotel meñ piyo chanda bhī do masjid meñ
shaiḳh bhī ḳhush raheñ shaitān bhī be-zār na ho
mai bhi hotel mein piyo chanda bhi do masjid mein
shaiKH bhi KHush rahen shaitan bhi be-zar na ho
baat tak karnī na aatī thī tumheñ
ye hamāre sāmne kī baat hai
baat tak karni na aati thi tumhein
ye hamare samne ki baat hai
raqīboñ ne rapaT likhvā.ī hai jā jā ke thāne meñ
ki 'akbar' naam letā hai ḳhudā kā is zamāne meñ
raqibon ne rapaT likhwai hai ja ja ke thane mein
ki 'akbar' nam leta hai KHuda ka is zamane mein
milī hai duḳhtar-e-raz laḌ-jhagaḌ ke qaazī se
jihād kar ke jo aurat mile harām nahīñ
mili hai duKHtar-e-raz laD-jhagaD ke qazi se
jihad kar ke jo aurat mile haram nahin
sunā ye hai banā karte haiñ joḌe āsmānoñ par
to ye samjheñ ki har biivī balā-e-āsmānī hai
suna ye hai bana karte hain joDe aasmanon par
to ye samjhen ki har biwi bala-e-asmani hai
ham aisī kul kitābeñ qābil-e-zabtī samajhte haiñ
ki jin ko paḌh ke laḌke baap ko ḳhabtī samajhte haiñ
we do deem all those books fit for confiscation
that sons read and think their father
hum aisi kul kitaben qabil-e-zabti samajhte hain
ki jin ko paDh ke laDke bap ko KHabti samajhte hain
we do deem all those books fit for confiscation
that sons read and think their father
dil ḳhush huā hai masjid-e-vīrāñ ko dekh kar
merī tarah ḳhudā kā bhī ḳhāna ḳharāb hai
seeing the mosque deserted was to me a source of glee
his house too was desolate, just the same as me
dil KHush hua hai masjid-e-viran ko dekh kar
meri tarah KHuda ka bhi KHana KHarab hai
seeing the mosque deserted was to me a source of glee
his house too was desolate, just the same as me
mar.ūb ho ga.e haiñ vilāyat se shaiḳh-jī
ab sirf man.a karte haiñ desī sharāb ko
marub ho gae hain wilayat se shaiKH-ji
ab sirf mana karte hain desi sharab ko