Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Sach

Truth and falsity represent

two facets and write life’s story at large. Truth is bare, sometimes even unkind but worth respecting as they stay ultimately and win the final battle. Interestingly, truth survives because it has falsity to challenge it. Here are some shers for you to appreciate the nature and worth of truth.

bahut chāhtā hai sach boleñ

kyā kareñ hausla nahīñ hotā

I want to speak only what's true

but courage fails, what can I do

ji bahut chahta hai sach bolen

kya karen hausla nahin hota

I want to speak only what's true

but courage fails, what can I do

Bashir Badr

kis kaam aisī sachchā.ī jo toḌ de ummīdeñ dil

thoḌī tasallī ho to ga.ī maanā ki vo bol ke jhuuT gayā

kis kaam ki aisi sachchai jo toD de ummiden dil ki

thoDi si tasalli ho to gai mana ki wo bol ke jhuT gaya

Arzoo Lakhnavi

har haqīqat hai ek husn 'hafīz'

aur har husn ik haqīqat hai

har haqiqat hai ek husn 'hafiz'

aur har husn ek haqiqat hai

Hafeez Banarasi

ek ik baat meñ sachchā.ī hai us lekin

apne va.adoñ se mukar jaane ko chāhtā hai

ek ek baat mein sachchai hai us ki lekin

apne wadon se mukar jaane ko ji chahta hai

Kafeel Aazar Amrohvi

maiñ sach to boltā huuñ magar ai ḳhudā-e-harf

jis meñ sochtā hai mujhe vo zabān de

main sach to bolta hun magar ai KHuda-e-harf

tu jis mein sochta hai mujhe wo zaban de

Himayat Ali Shayar

āsmānoñ se farishte jo utāre jaa.eñ

vo bhī is daur meñ sach boleñ to maare jaa.eñ

aasmanon se farishte jo utare jaen

wo bhi is daur mein sach bolen to mare jaen

Ummeed Fazli

samjhā hai haq ko apne jānib har ek shaḳhs

ye chāñd us ke saath chalā jo jidhar gayā

samjha hai haq ko apne hi jaanib har ek shaKHs

ye chand us ke sath chala jo jidhar gaya

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

sach ke saude meñ na paḌnā ki ḳhasārā hogā

jo huā haal hamārā so tumhārā hogā

sach ke saude mein na paDna ki KHasara hoga

jo hua haal hamara so tumhaara hoga

Anjum Rumani

maiñ sach kahūñgī magar phir bhī haar jā.ūñgī

vo jhuuT bolegā aur lā-javāb kar degā

main sach kahungi magar phir bhi haar jaungi

wo jhuT bolega aur la-jawab kar dega

Parveen Shakir

jhuuT vaale kahīñ se kahīñ baḌh ga.e

aur maiñ thā ki sach boltā rah gayā

jhuT wale kahin se kahin baDh gae

aur main tha ki sach bolta rah gaya

Waseem Barelvi

itnā sach bol ki hoñToñ tabassum na bujhe

raushnī ḳhatm na kar aage añdherā hogā

itna sach bol ki honTon ka tabassum na bujhe

raushni KHatm na kar aage andhera hoga

Nida Fazli

ishq meñ kaun batā saktā hai

kis ne kis se sach bolā hai

ishq mein kaun bata sakta hai

kis ne kis se sach bola hai

Ahmad Mushtaq

raat ko raat kah diyā maiñ ne

sunte baukhlā ga.ī duniyā

raat ko raat kah diya main ne

sunte hi baukhla gai duniya

Hafeez Merathi

kahiye jo jhuuT to ham hote haiñ kah ke rusvā

sach kahiye to zamāna yaaro nahīñ hai sach

kahiye jo jhuT to hum hote hain kah ke ruswa

sach kahiye to zamana yaro nahin hai sach ka

Mushafi Ghulam Hamdani

vo kam-suḳhan thā magar aisā kam-suḳhan bhī na thā

ki sach boltā thā jab bhī boltā thā bahut

wo kam-suKHan tha magar aisa kam-suKHan bhi na tha

ki sach hi bolta tha jab bhi bolta tha bahut

Akhtar Hoshiyarpuri

sadāqat ho to dil sīnoñ se khiñchne lagte haiñ vaa.iz

haqīqat ḳhud ko manvā letī hai maanī nahīñ jaatī

sadaqat ho to dil sinon se khinchne lagte hain waiz

haqiqat KHud ko manwa leti hai mani nahin jati

Jigar Moradabadi

kuchh log jo ḳhāmosh haiñ ye soch rahe haiñ

sach boleñge jab sach ke zarā daam baḌheñge

kuchh log jo KHamosh hain ye soch rahe hain

sach bolenge jab sach ke zara dam baDhenge

Kamal Ahmad Siddiqi

jinheñ ye fikr nahīñ sar rahe rahe na rahe

vo sach kahte haiñ jab bolne pe aate haiñ

jinhen ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe

wo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain

Aabid Adeeb

jo dekhtā huuñ vahī bolne aadī huuñ

maiñ apne shahr sab se baḌā fasādī huuñ

jo dekhta hun wahi bolne ka aadi hun

main apne shahr ka sab se baDa fasadi hun

Shakeel Shah

sādiq huuñ apne qaul 'ġhālib' ḳhudā gavāh

kahtā huuñ sach ki jhuuT aadat nahīñ mujhe

sadiq hun apne qaul ka 'ghaalib' KHuda gawah

kahta hun sach ki jhuT ki aadat nahin mujhe

Mirza Ghalib

vāqi.a kuchh bhī ho sach kahne meñ rusvā.ī hai

kyuuñ na ḳhāmosh rahūñ ahl-e-nazar kahlā.ūñ

waqia kuchh bhi ho sach kahne mein ruswai hai

kyun na KHamosh rahun ahl-e-nazar kahlaun

Shahzad Ahmad

maiñ us se jhuuT bhī bolūñ to mujh se sach bole

mire mizāj ke sab mausamoñ sāthī ho

main us se jhuT bhi bolun to mujh se sach bole

mere mizaj ke sab mausamon ka sathi ho

Iftikhar Arif

vafā ke shahr meñ ab log jhuuT bolte haiñ

aa rahā hai magar sach ko māntā hai to aa

wafa ke shahr mein ab log jhuT bolte hain

tu aa raha hai magar sach ko manta hai to aa

Ghulam Mohammad Qasir

jhuuT bolā hai to qaa.em bhī raho us par 'zafar'

aadmī ko sāhab-e-kirdār honā chāhiye

jhuT bola hai to qaem bhi raho us par 'zafar'

aadmi ko sahab-e-kirdar hona chahiye

Zafar Iqbal

zahr mīThā ho to piine meñ mazā aatā hai

baat sach kahiye magar yuuñ ki haqīqat na lage

zahr miTha ho to pine mein maza aata hai

baat sach kahiye magar yun ki haqiqat na lage

Fuzail Jafri

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now