Sher on New Year
The arrival of a new
year is a cause for celebration. It marks the end of one journey and the beginning of another. This is, however, a momentary pleasure and keeps us oblivious of the times that may not be as welcome as this one. These verses bring the pleasures that the New Year brings to us along with new promises.
sāl-e-nau aatā hai to mahfūz kar letā huuñ maiñ
kuchh purāne se calender zehn kī dīvār par
sal-e-nau aata hai to mahfuz kar leta hun main
kuchh purane se calender zehn ki diwar par
purāne saal kī ThiThurī huī parchhā.iyāñ simTīñ
na.e din kā nayā sūraj ufuq par uThtā aatā hai
purane sal ki ThiThuri hui parchhaiyan simTin
nae din ka naya suraj ufuq par uThta aata hai
chehre se jhaaḌ pichhle baras kī kudūrateñ
dīvār se purānā calender utaar de
chehre se jhaD pichhle baras ki kuduraten
diwar se purana calender utar de
jis barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
us ko dafnāo mire haath kī rekhāoñ meñ
jis barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
us ko dafnao mere hath ki rekhaon mein
saal guzar jaatā hai saarā
aur calender rah jaatā hai
sal guzar jata hai sara
aur calender rah jata hai
munhadim hotā chalā jaatā hai dil sāl-ba-sāl
aisā lagtā hai girah ab ke baras TūTtī hai
munhadim hota chala jata hai dil sal-ba-sal
aisa lagta hai girah ab ke baras TuTti hai
na koī rañj kā lamha kisī ke paas aa.e
ḳhudā kare ki nayā saal sab ko raas aa.e
na koi ranj ka lamha kisi ke pas aae
KHuda kare ki naya sal sab ko ras aae
ye kis ne phone pe dī sāl-e-nau kī tahniyat mujh ko
tamannā raqs kartī hai taḳhayyul gungunātā hai
ye kis ne phone pe di sal-e-nau ki tahniyat mujh ko
tamanna raqs karti hai taKHayyul gungunata hai
ek pattā shajar-e-umr se lo aur girā
log kahte haiñ mubārak ho nayā saal tumheñ
ek patta shajar-e-umr se lo aur gira
log kahte hain mubarak ho naya sal tumhein
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
aaj ek aur baras bit gaya us ke baghair
jis ke hote hue hote the zamane mere
-
Tag : Yaad
pichhlā baras to ḳhuun rulā kar guzar gayā
kyā gul khilā.egā ye nayā saal dosto
pichhla baras to KHun rula kar guzar gaya
kya gul khilaega ye naya sal dosto
ḳhudā kare ki ye din baar baar aatā rahe
aur apne saath ḳhushī kā ḳhazāna laatā rahe
KHuda kare ki ye din bar bar aata rahe
aur apne sath KHushi ka KHazana lata rahe
ik ajnabī ke haath meñ de kar hamārā haath
lo saath chhoḌne lagā āḳhir ye saal bhī
ek ajnabi ke hath mein de kar hamara hath
lo sath chhoDne laga aaKHir ye sal bhi
dekhiye paate haiñ ushshāq butoñ se kyā faiz
ik barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
dekhiye pate hain ushshaq buton se kya faiz
ek barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
ik saal gayā ik saal nayā hai aane ko
par vaqt kā ab bhī hosh nahīñ dīvāne ko
ek sal gaya ek sal naya hai aane ko
par waqt ka ab bhi hosh nahin diwane ko
umr kā ek aur saal gayā
vaqt phir ham pe ḳhaak Daal gayā
umr ka ek aur sal gaya
waqt phir hum pe KHak Dal gaya
na.e saal meñ pichhlī nafrat bhulā deñ
chalo apnī duniyā ko jannat banā deñ
nae sal mein pichhli nafrat bhula den
chalo apni duniya ko jannat bana den
karne ko kuchh nahīñ hai na.e saal meñ 'yashab'
kyoñ nā kisī se tark-e-mohabbat hī kījiye
karne ko kuchh nahin hai nae sal mein 'yashab'
kyon na kisi se tark-e-mohabbat hi kijiye
ai jaate baras tujh ko sauñpā ḳhudā ko
mubārak mubārak nayā saal sab ko
ai jate baras tujh ko saunpa KHuda ko
mubarak mubarak naya sal sab ko
guzishta saal koī maslahat rahī hogī
guzishta saal ke sukh ab ke saal de maulā
guzishta sal koi maslahat rahi hogi
guzishta sal ke sukh ab ke sal de maula
tū nayā hai to dikhā sub.h na.ī shaam na.ī
varna in āñkhoñ ne dekhe haiñ na.e saal ka.ī
tu naya hai to dikha subh nai sham nai
warna in aankhon ne dekhe hain nae sal kai
dulhan banī huī haiñ rāheñ
jashn manāo sāl-e-nau ke
dulhan bani hui hain rahen
jashn manao sal-e-nau ke
kuchh ḳhushiyāñ kuchh aañsū de kar Taal gayā
jīvan kā ik aur sunahrā saal gayā
kuchh KHushiyan kuchh aansu de kar Tal gaya
jiwan ka ek aur sunahra sal gaya
na shab o roz hī badle haiñ na haal achchhā hai
kis barhaman ne kahā thā ki ye saal achchhā hai
na shab o roz hi badle hain na haal achchha hai
kis barhaman ne kaha tha ki ye sal achchha hai
is ga.e saal baḌe zulm hue haiñ mujh par
ai na.e saal masīhā kī tarah mil mujh se
is gae sal baDe zulm hue hain mujh par
ai nae sal masiha ki tarah mil mujh se
palaT sī ga.ī hai zamāne kī kaayā
nayā saal aayā nayā saal aayā
palaT si gai hai zamane ki kaya
naya sal aaya naya sal aaya
ik pal kā qurb ek baras kā phir intizār
aa.ī hai january to december chalā gayā
ek pal ka qurb ek baras ka phir intizar
aai hai january to december chala gaya
nayā saal aayā hai ḳhushiyāñ manāo
na.e āsmānoñ se āñkheñ milāo
naya sal aaya hai KHushiyan manao
nae aasmanon se aankhen milao
phir na.e saal kī sarhad pe khaḌe haiñ ham log
raakh ho jā.egā ye saal bhī hairat kaisī
phir nae sal ki sarhad pe khaDe hain hum log
rakh ho jaega ye sal bhi hairat kaisi
ab ke baar mil ke yuuñ sāl-e-nau manāeñge
ranjisheñ bhulā kar ham nafrateñ miTā.eñge
ab ke bar mil ke yun sal-e-nau manaenge
ranjishen bhula kar hum nafraten miTaenge
sitāroñ āsmāñ ko jagmagā do raushnī se
december aaj milne jā rahā hai january se
sitaron aasman ko jagmaga do raushni se
december aaj milne ja raha hai january se
mubārak mubārak nayā saal aayā
ḳhushī kā samāñ saarī duniyā pe chhāyā
mubarak mubarak naya sal aaya
KHushi ka saman sari duniya pe chhaya
aur kam yaad aaogī agle baras tum
ab ke kam yaad aa.ī ho pichhle baras se
aur kam yaad aaogi agle baras tum
ab ke kam yaad aai ho pichhle baras se
-
Tag : Yaad
nayā saal dīvār par Taañg de
purāne baras kā calendar girā
naya sal diwar par Tang de
purane baras ka calendar gira
ek baras aur biit gayā
kab tak ḳhaak uḌānī hai
ek baras aur bit gaya
kab tak KHak uDani hai
-
Tag : Birthday
yakum january hai nayā saal hai
december meñ pūchhūñgā kyā haal hai
yakum january hai naya sal hai
december mein puchhunga kya haal hai
ek lamha lauT kar aayā nahīñ
ye baras bhī rā.egāñ ruḳhsat huā
ek lamha lauT kar aaya nahin
ye baras bhi raegan ruKHsat hua
kisī ko sāl-e-nau kī kyā mubārakbād dī jaa.e
calender ke badalne se muqaddar kab badaltā hai
kisi ko sal-e-nau ki kya mubarakbaad di jae
calender ke badalne se muqaddar kab badalta hai